Monday 11 February 2013

Agar mein janta..... (shayari for your LOVE)

    Agar mein janta ki zindagi ki sirf ek hi baar ji jati hai 
    to yun hazaroin mautein na marta..

   Agar mein janta ki maut ke us taraf zindagi hai

   to shayad maut se na darta..

   Agar mein janta ki pyar sirf ek hi baar hota hai

   to sau baar na karta..

   Agar mein janta ki tum mujhe milne hi wali thi

   to tumhein is tarah na dhunta..

  Agar mein janta ki tum is tarah mera intzaar karogi

  to shayad mein tumhein kabhi na milta..

  Agar mein janta ki zindagi jine ke liye sirf ek lamha kafi hai

  to yun saaloin ki chaah na rakhta.. 

  Agar mein janta ki khamoshi sab kuch kah deti hai 

  to itne bol na  bolta..

  Agar mein janta ki tumhari duniya itni defective hai

  to sirf tumhare liye bade pyar se ek aur duniya bana deta..

 Agar mein janta....

 Agar mein janta....